Write-Up
Ay Yateeme Mujtaba, Ay Yateeme Mujtaba, Ay Yateeme Mujtaba

(Shabbir (A.s.) Ne Yun Laasha-E Qaasim (A.s.) Ko Uthaaya) X2

1. Ek Ghatri Me Lipta Huwa Sehra Nazar Aaya

(Shabbir (A.s.) Ne Yun Laasha-E Qaasim (A.s.) Ko Uthaaya) X2

2. Sad Paash Badan Hogaya Yun Ibne Hassan (A.s.) Ka

Ek Ek Uzu' Khaak Pe Bikhra Tha Badan Ka

Pamal Badan Kistarha Maula Ne Uthaaya

(Shabbir (A.s.) Ne Yun Laasha-E Qaasim (A.s.) Ko Uthaaya) X2

3. Maa Khaime Mein Baithi Rahi Umeed Lagaae

Kab Lowt Ke Maidaanse Lakhte Jigar Aae

Jab Lakhte Jigar Aaya To Munh Ko Jigar Aaya

(Shabbir (A.s.) Ne Yun Laasha-E Qaasim (A.s.) Ko Uthaaya) X2

4. Awlaad Bare Bhaai Ki Thi Jaan Se Pyaari

Jaane Lagi Jab Dasht Mein Qaasim (A.s.) Ki Sawaari

Shabbir (A.s.) Ne Maa Ki Tarah Sine Se Lagaaya

(Shabbir (A.s.) Ne Yun Laasha-E Qaasim (A.s.) Ko Uthaaya) X2

5. Poshaak Jo Pehnaai Thi Armaanose Maa Ne

Dekhi Wohi Poshaake Lahu Range Jahaa Ne

Ek Shab Ka Banaa Khun Mein Is Tarha Nahaaya

(Shabbir (A.s.) Ne Yun Laasha-E Qaasim (A.s.) Ko Uthaaya) X2

6. Noshaah Ke Baazu Pe Jo Taweez Hassan Tha

Taweez Mein Tehreer Yehi Ek Sukhan Tha

Qaasim (A.s.) Mere Shabbir (A.s.) Ka Fidya Hai Khudaaya

(Shabbir (A.s.) Ne Yun Laasha-E Qaasim (A.s.) Ko Uthaaya) X2

7. "Rehaan" Shahe Waala Ne Qaasim (A.s.) Se Jo Pucha

Ay Laal Shahaadat Ka Maza Hota Hai Kaisa

Qaasim (A.s.) Ne Kahaa Shehd Se Sheerin Hai Ziyaada

(Shabbir (A.s.) Ne Yun Laasha-E Qaasim (A.s.) Ko Uthaaya) X2