Write-Up
Sakina(As) Aur Zainab(As) Par Ajab Lamhay Hai Gurbat Kay



1- Sakina(As) Aur Zainab(As) Par Ajab Lamhay Hai Gurbat Kay

Kiya Jab Bain Dono Nay Khud Apnay Apnay Baba Say

Bulaya Tha Ussay Run Mai Ilayya Kah Kay Lashay Nay

Ussay Milnay Ali Chal Kar Najaf Say Ban Mai Aay Thay

Wo Beti Baap Kay Lashay Par Aa Kay Aahay Bharti Thi

Yea Bati Bayrida Thi Muu Chupa Kay Baat Karti Thi



Sakina(As) Aur Zainab(As) Par Ajab Lamhay Hai Gurbat Kay



2- Ussay Hasrat Thi Jaldi Say Har Ek Pathar Ulat Jaay

Issay Hasrat Thi Wo Sarta Qadam Mitti Say Hat Jaay

Ussay Hasrat Thi Baba Kay Wo Sinay Lipat Jaay

Issay Hasrat Thi Yea Baba Ki Bas Nazro Say Hat Jaay

Sakina(As) Nannay Nannay Hato Say Pathar Hata Ti Thi

To Zainab(As) Khak Aur Balo Say Ek Chadar Banati Thi



Sakina(As) Aur Zainab(As) Par Ajab Lamhay Hai Gurbat Kay



3- Sakina(As) Kahti Thi Pochay Bina Har Baat Ko Samjo

Musibat Aur Yatimi Ka Hai Jo Uss Sath Ko Samjo

Meri Sorat Say Meri Sorat E Halat Ko Samjo

Hatati Kuu Nahi Kano Say Apnay Hath Ko Samjo

Duray Yaqod Ki Ja Ab Duray Khoo Bar Rakti Huu

Mai Do Gohar Nahi Duk Dard Kay Ambar Rakti Huu



Sakina(As) Aur Zainab(As) Par Ajab Lamhay Hai Gurbat Kay



4- Baya Zainab(As) Ka Tha Sab Mar Gaay Baba Mai Zinda Huu

Kaza Nay Khud 72 Martaba Dekha Mai Zinda Huu

Aur Nibhana Hai Mujay Shabbir Ki Wada Mai Zinda Huu

Kay Jab Talk Abid E Bemaar Hai Zinda May Zinda Huu

Mai Jis Gham Kay Liyea Zinda Hu Wo Gham Khud Uthaongi

Najaf Ko Jaaea Baba Mai Suhay Sham Jaaonge



Sakina(As) Aur Zainab(As) Par Ajab Lamhay Hai Gurbat Kay

5- Ajab Sham E Gariba Thi Ajab Mahool Tha Akbar

Udar Maqtal May Ek Duktar Idhar Jangal Mai Ek Duktar

Udar Bali Sakina(As) Aur Idhar Thi Zainab(As) E Muztar

Udar Nazray Thi Tiiro Par Idhar Nazray Thi Qadmo Par

Ussay Sinay Pay Sona Tha Magar Waha Zakhm Rotay Thay

Issay Ab Jagna Tha Bhai Jo Sahra Mai Sotay Thay.



Hai Zainab(As) Hai Hai Sakina(As).