Ay Maa Tum Mujhe Paas Bulaalo Mujhe Pyaas Sataati Hai

Write-Up
Ay Maa Tum Mujhe Paas Bulaalo Mujhe Pyaas Sataati Hey

Turbat Se Ali Asghar Ki (X2) Awaaz Ye Aati Hey

Yaad Aaye Bohot Mujhko Tera Jhula Jhulana

Hyy, Kabhi Seene Se Laga Ke Tera Lori Sunana

Jab Rayt Garam Pyaari Maa (X2) Mere Tan Ko Jalaati Hey

Hyy Pyaas Ki Shiddat Se Gala Sukha Parha Hey

Hyy, Hey Zakhmi Gala Usme Ay Maa Dard Khara Hey

Turbat Me Akela Hu(N) Mey (X2) Tanhaai Daraati Hey



Jhule Mey Parha Asghar Din Raat Hey Roya

Hyy, Jab Pyaas Bujhi Iski To Phir Cheyn Se Soya

Maqtal Mey Sakina Phir Kyu(N) (X2) Ise Dhoond Ne Jaati Hey



Darwaaze Pe Khaima Ke Ye Ik Bibi Khar(R)I Hey

Hyy, Mur Mur Ke Jo Maqtal Ki Taraf Dekh Rahi Hey

Ik Khoon Bharey Chole Ko (X2) Aankho(N) Sey Lagaati Hey



Wo Shame Ghariba Ko Ajab Zulm Huwa Tha

Hyy, Sar Nange Thi Har Bibi Har Ik Khaima Jalaa Tha

Abbas Ka Saaniy-E-Zahra (X2) Hyy Farz Nibhaati Hey



Akhtar Ye Hawaao(N) Ne Jo Paighaam Diya Hey

Hyy, Asghar Tujhe Sughra Ne Bohot Yaad Kiya Hey

Ik Baar Madine Aao (X2) Bemaar Bulaati Hey