Sajjad Mei Zainab Hu Mere Sarpe Rida Koi Nai

Write-Up
Sajjad Mei Zainab Hu, Mere Sarpe Rida Koi Nai

Bazaare Jafa...



Majma Hai Kufiyo Ka, Mere Chalne Ki Jaa Koi Nai

Bazaare Jafa...



Sajjad Mere Sarse, Aada Ne Chini Chaadar

Balwe Mei Nabi Zaadi, Phirwaayi Ghayi Dar Dar

Miljaaye Rida Mujhko, Aur Meri Dua Koi Nai



Sajjad Chalu Kaise, Laakho Hai Tamashaayi

Yaad Aata Hai Reh Rehke, Abbas Mera Bhaayi

Faryaad Karu Tujhse, Ab Tere Siwa Koi Nai



Sajjad Mere Dilko, Ye Dard Satata Hai

Sar Ghaazi Ka Neze Se, Jab Khaak Pe Aata Hai

Sar Mera Khula Dekhe, Gham Isse Baraa Koi Nai



Maalum Hai Aada Ko, Ghaazi Ki Behen Hu Mei

Be Dast Hai Wo Ghaazi, Paabande Rasan Hu Mei

Yaad Aayi Wafa Uski, Jab Paas Rahaa Koi Nai



Majbur Hu Be Bas Hu, Mei Ro Bhi Nahi Sakti

Durro Ki Aziyyat Se, Mei So Bhi Nahi Sakti

Is Darjaa Musibat Mei, Ham Dard Mera Koi Nai



Sajjad Teri Haalat, Dekhi Nahi Jaati Hai

Be Parda Mujhe Dekhe, Ye Baat Rulaati Hai

Sajjad Tere Tarhaa, Kaanto Pe Chala Koi Nai



Mout Aaeghi Zindaa Mei, Meri Baali Sakina Ko

Kya Jaake Bataunghi, Bimaare Madina Ko

Gham Dil Pe Uthaane Ko, Ab Baaqi Bacha Koi Nai



Jaata Hai Suwe Zindaa, Ab Kunbaa Muhammad Ka

Rassi Me Bandhe Qaidi, Kaanto Se Bhara Rasta

Ummat Ne Sitam Dhaaye, Qismat Se Ghilaa Koi Nai



Bazaare Sitam Me Tha, Zainab Ka Ajab Aalam

Mazhar Mei Likhu Kaise, Zaalim Ne Kahaa Jis Dum

Hai Koun Teraa Bhaayi, Zainab Ne Kaha Koi Nai